sahba-e-nazar ke is chhalkane ko kya kahiye us shokh ki aankhon ke paimane ko kya kahiye yun barq ne phunka hai sab khak hue sapne barbaad nasheman ke afsane ko kya kahiye de kar gham-e-dil ab wo bimar-e-mohabbat ko samjhate hain un ke is samjhane ko kya kahiye ye soz-e-mohabbat hai jab shama hui raushan jal jata hai chupke se parwane ko kya kahiye baitha hai abhi aa kar uth kar abhi chal dega diwana hai diwana diwane ko kya kahiye hathon mein liye patthar phirte hain mere pichhe apnon ki ye haalat hai begane ko kya kahiye rona mujhe aata hai haalat pe teri 'afat' ghar ki jo ye surat hai virane ko kya kahiye