ahl-e-duniya ko agar mujhse shikayat hai to hai

ahl-e-duniya ko agar mujh se shikayat hai to hai
haq-parasti is zamane mein baghawat hai to hai

mat bura kahna use ai hasrat-e-didar-e-yar
der se aana purani us ki aadat hai to hai

ganw mein bhai se bhai bhi kahan mahfuz tha
kya hua pardes mein har samt dahshat hai to hai

man ke aanchal se hasin hargiz nahin ai aasman
tu zamane ki nazar mein khubsurat hai to hai

kar raha hai bahami millat ki baaten phir 'zaki'
ab zamane ki nazar mein ye himaqat hai to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close