tasanno ki jhalak shamil hai jis ki parsai mein

tasanno ki jhalak shamil hai jis ki parsai mein
pareshan-haal wo rahta hai apni khud-numai mein

karishma dekhiye tahzib-e-nau ki rang-raliyon ka
kisi bachche ka dil lagta nahin hai ab padhai mein

dahal jata tha dushman ka kaleja dekh kar jis ko
wo millat ab nazar aati kahan hai bhai bhai mein

meri ghazlon ko aksar wo maza le le ke padhta hai
ghazal kahta hun main jis be-wafa ki bewafai mein

suna hai ai 'zaki' tum bhi mahaarat khub rakhte ho
zaban ki sadgi mein aur lahje ki safai mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close