ahl-e-gulshan rahzan ko rahbar kahne lage

ahl-e-gulshan rahzan ko rahbar kahne lage
tirgi itni badhi shab ko sahar kahne lage

ibtida ye thi dar-o-diwar se aata tha khauf
intiha ye hai ki hum sahra ko ghar kahne lage

tu bhi kah de mujh ko diwana ki diwana mujhe
ab to tere shahr ke diwar-o-dar kahne lage

ehtiyat ai zabt-e-gham aisa na ho un ke huzur
hum chhupaen haal-e-dil aur chashm-e-tar kahne lage

hae tauhin-e-junun 'nashtar' ki arbab-e-junun
khushk kante hain jinhen gul-ha-e-tar kahne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close