dil bhi ba-zid hai aur taqaza-e-yar bhi

dil bhi ba-zid hai aur taqaza-e-yar bhi
ek bojh hai ana ka labaada utar bhi

apni shikastagi ka mujhe gham nahin magar
bikhre pade hue hain yahan waza-dar bhi

wo qahr hai ki dasht-o-bayaban pe bas nahin
udti hai khak ab ke sar-e-kohsar bhi

ghat jaega shikasta badan ke hisar mein
tu apne aap ko kahin ruk kar pukar bhi

khud ko sametne hi chala tha ki ye khula
hai aur intishaar pas-e-intishaar bhi

wo waqt aa pada ki sabhi dam-ba-khud rahe
kaam aa saka na apne lahu ka hisar bhi

kis dhund mein ulajhne laga hun main aaj sham
be-manzari ki khak hai aankhon ke par bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close