ahl-e-haq ki baaton se jo nazar churaega

ahl-e-haq ki baaton se jo nazar churaega
waqt ek din us ko aaina dikhaega

jism ka har ek hissa khushbuen bikherega
lams meri sanson ka jab asar dikhaega

fasl-e-gul ki aamad hai chaak honge phir daman
phir junun ki wadi ka rasta bulaega

khun-e-arzu apna nazr-e-gulsitan kar do
tab gulon ke chehre par kuchh nikhaar aaega

eqtidar-o-mansab ki jang roz jari hai
kaun qadr-e-insan ki fasl ab ugaega

harakat-o-amal mein hain kaamraniyan muzmar
manzilen usi ki hain jo qadam badhaega

tum bhi dub jaoge khush-gawar yaadon mein
jab kabhi ghazal meri koi gungunaega

hai 'nadim' kuchh aisi dastan-e-dil apni
sun ke husn roega ishq muskuraega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close