apni guftar ka jadu kabhi chalta dekhun

apni guftar ka jadu kabhi chalta dekhun
us ke inkar ko iqrar mein dhalta dekhun

us ka aana hai qayamat to qayamat hi sahi
aaj khurshid ko maghrib se nikalta dekhun

is se pahle meri aankhon ki basarat chhin jae
kisi dushman ko bhi main aag mein jalta dekhun

kash aisi bhi koi id mere ghar aae
apne bachchon ko masarrat se uchhalta dekhun

ek pal ke liye mujh se bhi mukhatib ho ja
main bhi is dil ko zara der bahalta dekhun

meri aaghosh-e-mohabbat mein kabhi tu aae
garmi-e-shauq se main tujh ko pighalta dekhun

marifat ke liye kafi hai mera apna wajud
kya zaruri hai ki hangama-e-duniya dekhun

dard-e-dil is liye khamosh sahe jata hun
ye gawara nahin mujh ko tujhe ruswa dekhun

shahr-e-azar mein karun aaina-sazi jo 'nadim'
apna chehra kai chehron mein badalta dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close