ahl-e-junun the fasl-e-bahaaran ke sar gae hum log khwahishon ki hararat se mar gae hijr o visal ek hi lamhe ki baat thi wo pal guzar gaya to zamane guzar gae ai tirgi-e-shahr-e-tamanna bata bhi de wo chand kya hue wo sitare kidhar gae wahshat ke is nagar mein wo qaus-e-quzah se log jaane kahan se aae the jaane kidhar gae khushbu asir kar ke udae phiri hamein phir yun hua ki hum bhi faza mein bikhar gae