ashkon ko aarzu-e-rihai hai roiye aankhon ki ab isi mein bhalai hai roiye rona ilaj-e-zulmat-e-duniya nahin to kya kam-az-kam ehtijaj-e-khudai hai roiye taslim kar liya hai jo khud ko charagh-e-haq duniya qadam qadam pe sabai hai roiye khush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap is dasht mein bas aabla-pai hai roiye hum hain asir-e-zabt ijazat nahin hamein ro pa rahe hain aap badhai hai roiye