ahl-e-khana ki bhi naraazgi ki baaten kar khud se khud ki kabhi aawargi ki baaten kar baat kharon ki ho andaz mein talkhi wajib phul shadab hain shaistagi ki baaten kar be-zaban aas liye dekhte hain jo tujh ko un ko de kar zaban wabastagi ki baaten kar koi haalat se majbur bhi ho sakta hai aaj haalat ki nasazgi ki baaten kar un ka ghusse mein amal thik nahin tha mana ab zara apni bhi diwangi ki baaten kar ho na mumkin agar imdad-e-ghariban 'akhtar' dil-kharashi nahin dil-bastagi ki baaten kar