gar sharik-e-badi nahin hota

gar sharik-e-badi nahin hota
lahja ab multaji nahin hota

dard wo dard hi nahin hota
dard jo daimi nahin hota

kaam jo ba-khushi nahin hota
qaede se kabhi nahin hota

dil mein ishq-e-nabi na ho jab tak
kaamil iman bhi nahin hota

sar-nigun hona din ki khatir
darja-e-buzdili nahin hota

zikr hota hai jab bhi daulat ka
aadmi aadmi nahin hota

qaum behis na gar hui hoti
aalam-e-be-kasi nahin hota

war karta hai jo qarib aakar
dosto ajnabi nahin hota

jis ko daulat aziz ho wo ghani
ho na ho par sakhi nahin hota

main ghalat tha ya hun ye mumkin hai
faisla har sahi nahin hota

marzi ke jo khilaf ho rishta
bais-e-sarkhushi nahin hota

be-gharaz jo nahin wo kuchh bhi ho
jazba-e-dosti nahin hota

aap ko shaikh kaun samjhae
har musalman wali nahin hota

mal fitna hai 'akhtar' aur fitna
hasil-e-zindagi nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close