ahl-e-zahir ko fann-e-jalwa-gari ne mara ahl-e-baatin ko tawana-nazari ne mara talkh thi maut magar zist se shirin-tar thi us se puchho jise be-baal-o-pari ne mara mundamil hote hue zakhm hare hone lage sae sae mein teri ham-safari ne mara dasht-e-ghurbat ke shab-o-roz ki lazzat na mili sar watan mein bhi bahut dar-ba-dari ne mara ishq aur dast-e-talab aisi bhi kya majburi shauq ko kawish-e-daryuza-gari ne mara zakhm-e-parina bhara hi tha ki ai sozan-e-haal aur ek tir teri bakhiya-gari ne mara dad-o-shamshir ne jab jab bhi darana chaha qahqaha shauq ki shorida-sari ne mara sulh karna to zamane se hai aasan lekin mujh ko 'zaidi' meri baaligh-nazari ne mara