be-KHabar hun hosh ka aalam nahin

be-khabar hun hosh ka aalam nahin
ye bhi kuchh us ki inayat kam nahin

mere honton par tabassum dekh kar
kyon samajhte ho ki dil mein gham nahin

shan-e-gham is mein nahin aansu bahen
qahqahe bhi aansuon se kam nahin

jal utha hai dil mein ek aisa charagh
raushni jis ki kabhi maddham nahin

chashm-e-shair chashm hai nargis nahin
is ka hasil khun hai shabnam nahin

'tahira' jis mein na ho soz-e-darun
sirf ek haiwan hai aadam nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close