ahwal-e-dil-e-zar sunaya nahin jata

ahwal-e-dil-e-zar sunaya nahin jata
jo raaz ayan ho wo bataya nahin jata

apna to dil-e-zar hai danai se khali
nadan se nadan manaya nahin jata

tum hi ye batao main bhulaun tumhein kaise
is dil se koi naqsh mitaya nahin jata

sar phodna mushkil nahin hota hai junun mein
diwar se aashiq ko lagaya nahin jata

tabir mile ya na mile baat alag hai
aankhon se magar khwab churaya nahin jata

us shahr ki tauqir hain 'jazib' hi se aashiq
ushshaq ko nazron se giraya nahin jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close