aks mismar karta jata hun roz ek aaina banata hun phone karta hun barha har shab jagta hun use jagata hun jab bhi aata hai yaad tu mujh ko nam tak apna bhul jata hun kya ajab hai ki tez aandhi mein ek diya sa main timtimata hun wo kahani mujhe nahin azbar roz duniya ko jo sunata hun chand khushiyon ke waste 'jazib' roz kitne hi gham kamata hun