ahwal-e-ranj bazm mein kahna muhaal hai kahte hain khub sher kaha hai kamal hai kitna hasin uruj hai kaisa jamal hai lekin azal se tai hai ki ek din zawal hai shayad wo ek sarab hai lekin main kya karun mera wahi hai dasht mein pursan-e-haal hai puchha gaya hai mujh se tera kaun hai khuda ya-rabb-e-alamin ye kaisa sawal hai darne ka de diya hai waba ne naya sabab baqi har ek khauf yahan hasb-e-haal hai