zabt-e-fughan baja sahi gham ke asar ko kya karun

zabt-e-fughan baja sahi gham ke asar ko kya karun
nala-e-shab ko kya karun aah-e-sahar ko kya karun

subh-e-shab-e-firaq bhi sham-e-alam se kam nahin
jis mein na koi nur ho aisi sahar ko kya karun

fitrat-e-ishq ne mujhe daulat-e-dard bakhsh di
taat-e-shab se kaam kya zikr-e-sahar ko kya karun

subh-e-azal ki raushni meri nazar mein hai abhi
nur-e-sahar to aap hain nur-e-sahar ko kya karun

sham-e-alam ki zulmaten kafi hain mere waste
main to bala-nasib hun le ke sahar ko kya karun

subh mein ab kahan wo husn sham mein ab kahan wo kaif
aalam-e-intizar ke sham-o-sahar ko kya karun

aish mein bhi khayal-e-gham mane-e-zauq-o-shauq hai
ai shab-e-wasl-e-dil-nawaz wahm-e-sahar ko kya karun

mere nasib mein nahin jalwa-e-subh-e-arzu
'kaukab'-e-sham-e-gham hun main najm-e-sahar ko kya karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close