ahwal pochhiye mera aazar jaaniye zanjir dekh kar na giraftar jaaniye afsos ja chuka hai ghadi dekhne ka waqt ab dhup se hi waqt ki raftar jaaniye hansiye janab der tak ab apne aap par kis ne kaha tha khud ko samajhdar jaaniye kuchh der baith jaiye diwar ke qarib kya kah raha hai saya-e-diwar jaaniye aasan nahin hai jaanna is shahr ka mizaj sau bar dekhiye use sau bar jaaniye kya rabt-e-khas aap ko kar-e-jahan se hai achchha to aap bhi mujhe bekar jaaniye 'kashif'-husain khub hi hote hain ahl-e-ishq is par bhi khade hon to us par jaaniye