dil tamam aaine tera kaun raushan kaun ab ye aankh hi jaane doston mein dushman kaun ya jigar mein khun kam tha ya abhi junun kam tha dasht ke ewaz karta warna qasd-e-gulshan kaun ek nashat-arai ek sukun-e-tanhai hijr ya visal achchha hal kare ye uljhan kaun silsile mohabbat ke nam se nahin chalte apni zat jo taj de shaikh kya barahman kaun ek nai lagan bakhshe ek faqat thakan bakhshe mardum-azma nikla rahnuma ki rahzan kaun ishq be-khabar guzre khair-o-shar ke uqdon se aarzu ki sita ko ram kaun rawan kaun khama-e-sukhanwar ya jazb-e-andrun 'gauhar' fan ke sar pe rakhta hai taj-e-azmat-e-fan kaun