ai aabla-pa aur bhi raftar zara tez is dasht-e-pur-asrar mein chalti hai hawa tez aasar to kuchh aise khatarnak nahin the kya jaaniye kis tarah ye tufan hua tez kuchh abr-o-hawa barq-o-sharar se nahin matlab is daur-e-pur-ashob mein har shai hai siwa tez kya mauj-e-sukhan kya nafas-e-saeqa-parwar bas ye hai ki ho jati hai aawaz-e-ana tez uthte hain sar-e-rah jahan zard bagule hota hai wahin raqs-e-junun aur siwa tez shayad ki rag-e-jaan mein lahu zinda hai ab tak aksar dar-e-zindan se ubharti hai sada tez taqdir-e-mohabbat bhi badal jaegi 'nami' un hathon pe ho jae zara rang-e-hina tez