ai aah teri qadr asar ne to na jaani go tuj ko laqab hum ne diya arsh-makani yak khalq ki nazron mein subuk ho gaya lekin karta hun main ab tak teri khatir pe girani tuk dida-e-tahqiq se tu dekh zulekha har chah mein aata hai nazar yusuf-e-sani mamur hai jis roz se virana-e-duniya har jins ke insan ki ye mati gai chhani ek wamiq-e-nau ka hai samajh chaak gareban karti hai jo rakhna koi diwar purani bulbul hi sisakti na thi kuchh bagh mein tujh bin shabnam gulon ke munh mein chuwati rahi pani hai gosh-zada khalq mera qissa-e-jaan-kah jab se ki na samjhe tha tu chidiya ki kahani jun shama mujhe sharm hai zunnar ki ai shaikh mala na japun raat ko be-ashk-fishani jis samt nazar mauj-e-sarab aawe to ye jaan howegi kisi zulf-e-chalipa ki nishani kya kya mile laila-manshan khak mein 'sauda' go apne bhi mahbub ki dekhi na jawani