tirgi hi tirgi hai baam-o-dar mein kaun hai kuchh dikhai de to batlaen nazar mein kaun hai kyun jalata hai mujhe wo aatish-e-ehsas se main kahan hun ye mere diwar-o-dar mein kaun hai zat ke parde se bahar aa ke bhi tanha rahun main agar hun ajnabi to mere ghar mein kaun hai chaak kyun hote hain pairahan gulon ke kuchh kaho jhuk ke lahraata hua shakh-e-samar mein kaun hai jaise koi pa gaya ho apni manzil ka suragh dhup mein baitha hua rah-e-safar mein kaun hai kanpta ja dekh kar izhaar ki tajsim ko sochta ja aarzu-e-shisha-gar mein kaun hai bas zara biphri hui maujon ki khu mail rahi ahl-e-sahil jaante to the bhanwar mein kaun hai shor karta phir raha hun khushk patton ki tarah koi to puchhe ki shahr-e-be-khabar mein kaun hai main to diwana hun ek sang-e-malamat hi sahi lekin itna soch lo shishe ke ghar mein kaun hai