ai asir-e-ishq tujh ko is ka andaza nahin ye wo kamra hai ki jis ka koi darwaza nahin ye teri masumiyat ye dilbari ye sadgi mang mein afshan nahin rukhsar par ghaza nahin ishq mein kis ko hua hai faiz aisa kaun hai kaun hai aisa uthaya jis ne khamyaza nahin kar sakega wo bhala kya mere zakhmon ka ilaj zakhm ki gahrai ka bhi jis ko andaza nahin ye tera bashshash chehra ye tari khanda-labi waqt ne 'shahzar' diya kya tujh ko gham taza nahin