ai but hain husn mein teri mashhur pindliyan aisi kahan se lae pari hur pindliyan mumkin nahin ki yun to kisi ki nazar pade khul jaen nind mein to hain mazur pindliyan bedariyon mein aain nazar ye to hai muhaal makhfi hain waqt-e-khwab ba-dastur pindliyan taban misal-e-shama hain fanus-e-nur se har-chand paichon mein hain mastur pindliyan ai 'nadir' un ke husn ki tarif kya likhun sham-e-lagan se badh ke hain pur-nur pindliyan