bas ek tere khwab se inkar nahin hai dil warna kisi shai ka talabgar nahin hai aankhon mein hasin khwab to hain aaj bhi lekin tabir se ab koi sarokar nahin hai dariya se abhi tak hai wahi rabt hamara kashti mein hamari koi patwar nahin hai hairat se nae shahr ko main dekh raha hun diwar to hai saya-e-diwar nahin hai is bazm ki raunaq to zara ghaur se dekho lagta hai yahan koi dil-azar nahin hai aae ho numaish mein zara dhyan bhi rakhna har shai jo chamakti hai chamakdar nahin hai kyun itna hamein apni mohabbat pe yaqin hai duniya to mohabbat ki parastar nahin hai