ai dard-e-ishq tujh se mukarne laga hun main mujh ko sambhaal had se guzarne laga hun main pahle haqiqaton hi se matlab tha aur ab ek aadh baat farz bhi karne laga hun main har aan tutte ye aqidon ke silsile lagta hai jaise aaj bikharne laga hun main ai chashm-e-yar mera sudharna muhaal tha tera kamal hai ki sudharne laga hun main ye mehr-o-mah arz-o-sama mujh mein kho gae ek kaenat ban ke ubharne laga hun main itnon ka pyar mujh se sambhaala na jaega logo tumhaare pyar se darne laga hun main dilli kahan gain tere kuchon ki raunaqen galiyon se sar jhuka ke guzarne laga hun main