waqt ka pahiya chala aur raat gahri ho gai sham aai din tala aur raat gahri ho gai itna raushan tha badan main din hi rahta tha mudam be-sabab hi dil jila aur raat gahri ho gai aakhiri didar tha tayyar tha jis ke liye aisa mushkil marhala aur raat gahri ho gai jagne wale na the jo dekhte us ki chamak nind sab ka mashghala aur raat gahri ho gai main use kahne hi wala tha ujala tha abhi kar bhala so ho bhala aur raat gahri ho gai raat to pahle se thi jab bap sa suraj na tha chand sa bhai dhala aur raat gahri ho gai pi nahin sakte the pani dekh to sakte the hum ek to ye karbala aur raat gahri ho gai us taraf tufan aaya aur din lamba hua hum par aaya zalzala aur raat gahri ho gai sun rahe ho jaise hi abyaz ne 'aswad' se kaha pur karo mera khala aur raat gahri ho gai