ai dida khanuman tu hamara dubo saka lekin ghubar yar ke dil se na dho saka tujh husn ne diya na kabhu mufsidi ko chain fitna na tere daur mein phir nind so saka jo shama-tan hua shab-e-hijran mein sarf-e-ashk par jis qadar main chahe tha utna na ro saka 'sauda' qimar-e-ishq mein shirin se kohkan bazi agarche pa na saka sar to kho saka kis munh se phir tu aap ko kahta hai ishq-baz ai ru-siyah tujh se to ye bhi na ho saka