sab log sham hote hi jab apne ghar gae

sab log sham hote hi jab apne ghar gae
sahra ko hum bhi shahr se phir laut kar gae

achchhe dinon ki aas mein jaane kidhar gae
jitne the mere khwab suhane bikhar gae

musa jo ban chale the awami khitab mein
sahir ki rassiyon se wahi log dar gae

gahrai napne mein the kuchh log munhamik
kuchh log paniyon mein bila khauf utar gae

ahl-e-junun ki jab na rahi chaak-damani
shahan-e-khush-libas se rishte sanwar gae

aisa mujassama tha wo khush-pairahan ki bas
nange gharib bachche wahin par thahar gae

ai khak-e-hind bol ki tu jaanti hai sab
kuchh to bata kahan mere lal-o-gohar gae

kahte hain un se pahle ye gulshan tha khar-zar
wo kaun log the jo yahan se guzar gae

jis ke liye khirad ko thi sardar ki talash
ahl-e-junun wo kaam sar-e-dar kar gae

khud apne ehtisab ki fursat kahan mili
kuchh bhi hua to ghairon pe ilzam dhar gae

lashkar ko jaan de ke mila bhi to kya mila
fath-o-zafar ke taj to shahon ke sar gae

main ne kaha mutalba koi nahin mera
kahne lage ki aap to bilkul sudhar gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close