ai dil apni tu chah par mat phul dilbaron ki nigah par mat phul ishq karta hai hosh ko barbaad aql ki rasm-o-rah par mat phul dam hai wo are kamand hai wo dekh zulf-e-siyah par mat phul wah kah kar jo hai wo hans deta aah is dhab ki wah par mat phul gir padega 'nazir' ki manind tu zanakhdan ki chah par mat phul