chhod har ek ko bura kahna aisi surat pe tujh ko kya kahna be-wafaon ko ba-wafa kahna aap ki baat wah kya kahna tum ne kya aib hum mein dekha hai dekho achchha nahin bura kahna main ne kya kya kaha hai logon se ek bar aur phir zara kahna jaante kab hain mujh ko apna dost mante kab hain wo mera kahna mujh ko ghusse se dekh kar na ruko dil mein jo kuchh bhi aa gaya kahna main mohabbat mein kya karun insaf koi insaf se zara kahna aap ko aaj tak nahin aaya waqia sab se ek sa kahna khub naqlen utarte hain aap aafrin wah wah kya kahna kya kaha main kabhi nahin sunta aur phir us pe aap ka kahna un ko kahna salam ai qasid aur darban ko dua kahna ai safi' hai abhi to dilli dur kaun kahta hai aa gaya kahna