ai dil-e-be-adab us yar ki saugand na kha tun har ek baat mein dildar ki saugand na kha ruh-e-chandr-badan ai bul-hawas aazurda na kar khub nahin turbat-e-mahyar ki saugand na kha ye ada sarw mein zinhaar nahin ai qumri yar ke qamat o raftar ki saugand na kha khauf kar khat ki siyahi sati ai wada-khilaf har ghadi mushaf-e-rukhsar ki saugand na kha apni aankhon ki qasam kha ki liya nahin main ne jaan le kar dil-e-bimar ki saugand na kha pech de de ke mere dil kun pareshan to kya nahaq us zulf-e-girah-dar ki saugand na kha tab us rukh ki tajalli ki nahin tujh kun 'siraj' tun abas shola-e-didar ki saugand na kha