hijr ka qissa bahut lamba nahin bas raat bhar hai ek sannata magar chhaya hua ehsas par hai ek samundar be-hisi ka ek kashti aarzu ki hae kitni mukhtasar logon ki rudad-e-safar hai main azal se chal raha hun thak gaya hun sochta hun kya teri duniya mein har manzil nishan-e-rahguzar hai is fasil-e-gham ko sar karne pe bhi kya mil sakega ek diwar-e-hawa hai ek tera sang-e-dar hai dubne wale sitare ko bhala kab tak pukare zindagi ki raat ko suraj ke hans dene ka dar hai dekh le mujh ko abhi kuchh raushni baqi hai mujh mein sham tak ek ret ka tufan aane ki khabar hai