ai dil-e-dard-ashna husn se rasm-o-rah kar ishq hai bais-e-najat shauq se to gunah kar lutf bhi gah-gah kar zulm bhi be-panah kar jaise bhi tujh se ho sake mujh se magar nibah kar mere sawal-e-wasl par aaj wo mujh se kah gae tu abhi chand roz aur hijr mein aah aah kar husn tere huzur khud aae ba-iztirab-e-dil ai dil-e-dard-ashna aisi bhi ek aah kar shauq hai gar waqar ka gulshan-e-rozgar mein phulon ke sath hi 'aziz' kanton se bhi nibah kar