dil-e-shorida ki wahshat nahin dekhi jati

dil-e-shorida ki wahshat nahin dekhi jati
roz ek sar pe qayamat nahin dekhi jati

ab un aankhon mein wo agli si nidamat bhi nahin
ab dil-e-zar ki haalat nahin dekhi jati

band kar de koi mazi ka daricha mujh par
ab is aaine mein surat nahin dekhi jati

aap ki ranjish-e-beja hi bahut hai mujh ko
dil pe har taza musibat nahin dekhi jati

tu kahani hi ke parde mein bhali lagti hai
zindagi teri haqiqat nahin dekhi jati

lafz us shokh ka munh dekh ke rah jate hain
lab-e-izhaar ki hasrat nahin dekhi jati

dushman-e-jaan hi sahi sath to ek umr ka hai
dil se ab dard ki rukhsat nahin dekhi jati

dekha jata hai yahan hausla-e-qata-e-safar
nafas-e-chand ki mohlat nahin dekhi jati

dekhiye jab bhi mizha par hai ek aansu 'akhtar'
dida-e-tar ki rifaqat nahin dekhi jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close