ai dil-e-khud-na-shanas aisa bhi kya aaina aur is qadar andha bhi kya us ko dekha bhi magar dekha bhi kya arsa-e-khwahish mein ek lamha bhi kya dard ka rishta bhi hai tujh se bahut aur phir ye dard ka rishta bhi kiya zindagi khud lakh zahron ka thi zahr zahr-e-gham tujh se mera hota bhi kya puchhta hai rah-rau se ye sarab tishnagi ka nam hai dariya bhi kya khinchti hai aql jab koi hisar dhup kahti hai ki ye saya bhi kya uf ye lau deti hui tanhaiyan shahr mein aabaad hai sahra bhi kya khud use darkar thi meri nazar khud-numa jalwa mujhe deta bhi kya raqs karna har nae jhonke ke sath barg-e-awara hai ye duniya bhi kya khanda-zan gham par khushi par ashk-bar in dinon yaro hai rang apna bhi kya be-tab-o-tab-e-shua-e-agahi ishq kahiye jis ko wo shoala bhi kya gahe gahe pyar ki bhi ek nazar hum se ruthe hi raho aisa bhi kya ai meri takhliq-e-fan tere baghair main ki sab kuchh tha magar main tha bhi kya naghma-e-jaan ko giran-goshon ke pas na-rasai ke siwa milta bhi kya