tham zara waqt-e-ajal didar-e-jaan hone laga aakhiri hichki pe koi mehrban hone laga kis sitamgar ne uda li yaad-e-mazi ki bayaz har gali har mod par qissa bayan hone laga jaane kis gul ne chaman ki hurmaten pamal kin mausam-e-fasl-e-bahaaran bhi khizan hone laga dafn kar ke qabr mein jab ja chuke ahbab dost jo kabhi socha na tha wo imtihan hone laga dast-o-pa shal ho gae hain quwwaten zail huin zindagani ka safar aage rawan hone laga khwahishon ki chah mein khusran ke saude kiye manfat samjha jise aakhir ziyan hone laga koi wada aaj tak ifa nahin tum ne kiya baat sachchi thi magar wo bad-guman hone laga panw ki aahat ne mujh ko gor mein chaunka diya hichkiyon ka saz dil ka tarjuman hone laga kaisi khush-fahmi tumhein kis baat ka gharra 'umid' aa gae hain aqraba waqt-e-azan hone laga