ai dil-e-nadan mataa-e-kam-nigahi par na ja aur bhi kuchh dekh jismon ki ada hi par na ja dil mein jo poshida hai wo hasrat-e-tamir dekh dekhne wale mere dil ki tabahi par na ja ye to hai meri tabiat ye to hai mera mizaj main tera banda hun meri kaj-kulahi par na ja meri niyyat ko parakh mere amal ko tu na dekh mere daman par hai jo tu us siyahi par na ja hun sarapa jurm chehre par jo aati hai nazar dawar-e-mahshar meri is be-gunahi par na ja kal isi zulmat se hi phutengi kirnen nur ki ye jo badhti aa rahi hai is syahi par na ja chaar din ka khel hai aalam-panahi ka ye khel chashm-e-bina satwat-e-alam-panahi par na ja