auj-e-kamal-e-sher hai hamd-o-sana-giri

auj-e-kamal-e-sher hai hamd-o-sana-giri
mujh ko sikha gai hai yahi kuchh sukhanwari

is daur-e-fitna-gar mein meri ek baat sun
sab kuchh hai sulh hech hai ye jang-o-dawari

lashkar ki fikr taj ka sauda hai shah ko
darwesh sirf talib-e-kunj-e-qalandari

rukh par jo hai ghubar-e-qanaat ise na dho
behtar nahin hai is se koi kimiya-gari

bazar-e-jaan mein shaukat-e-shahan ka zikr kya
darbar mein to shart hai izhaar-e-chaakari

ai dost ek nukta bataun tujhe ki hai
iqrar-e-bandagi mein nihan raaz-e-sarwari

'azad' ashk-ha-e-farawan ki qadr kar
ashkon ke nam se hai teri kisht-e-sukhanwari


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close