ai dil-e-zar likho jaanib-e-jaanan kaghaz haal ka likhte hain fuqara su-e-sultan kaghaz marja-e-gabr-o-musalman hai wo but nam-e-khuda bhejte hain use hindu o musalman kaghaz un ka mazmun bhi albatta huwaida hoga ab jo aane lage us shokh ko pinhan kaghaz haif hai subh-e-watan se na hua warid-e-waqt hech gahe ba-sar-e-sham-e-ghariban kaghaz kisi ka bhi na jawab aaya hamein ghurbat mein lakh hum likhe watan ko su-e-yaran kaghaz wasf afshan ka hai kis sim-badan ke likhna kaghzi hum ko hai darkar zar-afshan kaghaz is qadar hum ne giran kar diye likh likh ke kise warna kis martaba the shahr mein arzan kaghaz likhte hum to khat-e-mahbub ko har dam nau-khat likhne dete jo hamein dida-e-giryan kaghaz mujh se diwane ko kya khat wo pari-zad likhe likhte albatta hain insan su-e-insan kaghaz bhejta hun main kisi rashk-e-gulistan ki taraf mera pahunchae magar murgh-e-gulistan kaghaz bhejta hun main kisi sani-e-bilqis ke saub mera le jae magar murgh-e-sulaiman kaghaz kya magar bhul gae bais-e-jamiyyat-e-khwesh hum ko bheje na adam se jo azizan kaghaz kahte hain nisf mulaqat hai maktub bhi yar kabhi likkho to su-e-matam-e-nalan kaghaz