pai hai wo milkiyat jis mein mila kuchh bhi nahin sar pe sara aasman aur zer-e-pa kuchh bhi nahin asl apna khojta phirta hai aadam umr bhar zindagi khud ke taaqub ke siwa kuchh bhi nahin ab palat kar puchhte ho rah mein kya kya hua hum siyah-bakhton ko kya hoga bhala kuchh bhi nahin aashiqi par qaul karte aa rahe hain chand log log wo jin ke liye mehr-o-wafa kuchh bhi nahin roz kitne hi sitare timtima kar bujh gae yun qaza ka gham na kar ye saneha kuchh bhi nahin hasil-e-ulfat jo puchho to hain mere do jawab ek to sari khudai dusra kuchh bhi nahin phir hawa ka rukh palatne ko hai un ki khair ho jin charaghon se hamara rabta kuchh bhi nahin kis qadar dushwar tha gadhna koi duniya jidhar ibtida kuchh bhi nahin aur intiha kuchh bhi nahin ek sahab 'mir' janme tis pe ek ghaalib hue phir ghazal-goi mein karne ko naya kuchh bhi nahin