ai dil hua hai jaise mere dil ko tu pasand aaya koi hasin na tere ru-ba-ru pasand tanke lagao halq pe khanjar ko pher kar phir ye kaho hamein hai ye tauq-e-gulu pasand iman se khuda ke liye tu hi sach bata waiz kisi ko bhi hai teri guftugu pasand aafat hai zamzama to ghazab gatkari ki tan kyon ho na mujh ko tujh sa but-e-khush-gulu pasand dard-e-firaq mein dil-e-sad-chaak ko mere tar-e-nigah-e-yar hai bahr-e-rafu pasand roz-e-alast se hun main sarshaar waizo kyon ho na mujh ko baada-o-jam-o-subu pasand dard-e-firaq-e-dost pe marte hain dil jigar donon ko hai bas ek yahi aarzu pasand dekhunga aankh utha ke na main hur ki taraf mar kar bhi han rahegi yahi aarzu pasand jhuti mile sharab jo us but ki saqiya kyon ho na zahidon ko wo bahr-e-wuzu pasand abru se go lada kabhi tir-e-nigah se dil ko hai mere jang ye ai jang-ju pasand