aise hasin ke ishq mein hai be-qarar dil sadqe hain jis ki ek ada par hazar dil jab mangte hain sab sanam-e-rozgar dil itne kahan se laun main parwardigar dil bezar zindagi se hai lail-o-nahaar dil jis roz se huzur ko karta hai pyar dil kya sochte ho us ko nishana batao tum hai nawak-e-mizha ka tumhaare shikar dil bauchhaar ho rahi hai jo tir-e-nigah ki sina hai chaak-chaak hamara figar dil ghamza ko dun karishma-e-naz-o-ada ko dun kis tarah ek dil ke banen tin chaar dil kya kya uthain hijr-e-sanam mein musibaten barson raha hai aath pahar be-qarar dil dafn is mein kushta ho ke huin kitni hasraten madfan bana hai sina to lauh-e-mazar dil zahid khayal-e-yar to har-dam hai jaguzin kyunkar karun main hur-e-jinan par nisar dil karne laga hai mujh se bahut kaj-adaiyan ab but hua hai jaise tera raazdar dil thahra na ek dam kabhi soz-e-firaq mein simab-war apna raha be-qarar dil dekha koi hasin to kya kya phadak utha bechain ho gaya mera be-ikhtiyar dil bhula hai teri yaad buton ke khayal mein aisa diya tha kyon mujhe parwardigar dil aao jo mere ghar mein to sau jaan se karun chitwan par aankh sadqe ada par nisar dil hota nahin hai eid ko bhi gham ghalat 'diler' yaran-e-raftagan ka bana sogwar dil