ai dil khushi ka zikr bhi karne na de mujhe gham ki bulandiyon se utarne na de mujhe ghar hi ujad gaya ho to lutf-e-qayam kya ai gardish-e-mudam thaharne na de mujhe maqsad ye hai sukun kisi surat na ho nasib ai chaarasaz baat bhi karne na de mujhe chehre pe khaal tak bhi na chhodenge bad-nigah ai mere khair-khwah sanwarne na de mujhe hai dekhne ki chiz jo bismil ka raqs bhi duniya ye chahti hai ki marne na de mujhe ye daur sang-dil hi nahin tang-dil bhi hai gar bas chale to aah bhi karne na de mujhe ab bhi ye hausla hai ki kuchh kaam aa sukun main tut to gaya hun bikharne na de mujhe