ai dil sharik-e-taifa-e-wajd-o-haal ho pyare ye aib hai to ba-hadd-e-kamal ho 'shibli'-o-'bayazid'-o-'gurunanak'-o-'kabir' hangama-e-jalal mein raqs-e-jamal ho sab ki zaban pe mast-kalandar ho dam-ba-dam phir us ke baad raat mein dat kar dhamal ho phir ham-safar karen taraf-e-la-jehat ne sharq-o-gharb ho na junub-o-shumal ho aasan ruju-e-shams hai lekin tere malang pahunchen wahan jahan se palatna muhaal ho ek kaenat-e-khwab ba-sad mumkinat-e-khwab nairangi-e-khayal ba-husn-e-khayal ho sarshaar-o-sarbuland-o-siyah-mast-o-sarfarosh mahaul apne haal mein gum ho wo haal ho gita ka tazkira ho to gautam se guftugu aur wed ki zaban mein jawab-o-sawal ho ai khizr-e-waqt majlis-e-aqtab-e-waqt mein zikr-e-moamla ho na fikr-e-maal ho hum yun rawan hon rah-e-abad mein ki sadd-e-rah mustaqil-e-wajud na mazi-o-haal ho kya kya tasawwuraat hain kya kya takhaiyyulat aisa na ho ki ye bhi tilism-e-khayal ho sab kuchh hai gar tilism-e-khayal-o-fusun to phir ai dil sharik-e-taifa-e-wajd-o-haal ho