usi ke kahne pe munhasir hai ye sara us ki sar-e-rah par hai kamal-e-dad us ko is qadar hai ye zor us ki hi wah par hai kahan kahan kis ko kya milega ye faisla sarbarah par hai kisi ki aankhon ke ashk par hai kisi ke honton ki aah par hai badal to lun rasta magar phir nazar abhi zad-e-rah par hai chalega ab kitni dur tak tu ye apne zor-e-nibah par hai har ek mehwar har ek markaz abhi tak us kaj-kulah par hai wo bakhsh de chahe mar dale ye faisla aaj shah par hai kahan se palte kahan pe thahre ye munhasir ab nigah par hai lo aaj duben ki par utren ye sab to 'mumtaz' chah par hai