ai dil ye sai-e-zabt kahin raegan na ho

ai dil ye sai-e-zabt kahin raegan na ho
darta hun phir wo dushman-e-jaan mehrban na ho

koi batae aisi nazar ko main kya kahun
jo raunaq-e-hayat ho taskin-e-jaan na ho

be-ikhtiyar jhukne lagi kyon jabin-e-shauq
us dushman-e-wafa ka yahi aastan na ho

chheda hai main ne qissa-e-musa-o-koh-e-tur
us ko hai wahm ye bhi meri dastan na ho

hairan hun kaise chashm-e-tamanna ne ki bayan
wo ek kaifiyat jo rahin-e-bayan na ho

main aur us nigah-e-karam par na jaan dun
ye wahm tha ki wo bhi pa-e-imtihan na ho

khwahish ye hai ki nazr karun ye mata-e-dil
phir sochta hun ek nazar ka ziyan na ho

hai ek ada-e-husn hijab-e-nazar-faroz
is parda-e-bahaar mein koi nihan na ho

mahrumiyon ne ranj ko rahat bana diya
ab talkhi-e-hayat bhi shayad giran na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close