dil mein wo kaifiyat-e-nashsha-e-sahba hi nahin

dil mein wo kaifiyat-e-nashsha-e-sahba hi nahin
darpai-e-hosh nigah-e-tarab-afza hi nahin

lala-o-gul mein kashish hai na mah-o-anjum mein
ab nigahon pe hijabaat-e-tamanna hi nahin

is tarah mujh se takhatub hai ki jaise main ne
chashm-e-mushtaq se un ko kabhi dekha hi nahin

kya bane koi harif-e-nigah-e-sehr-taraaz
himmat-afza koi dar-parda ishaara hi nahin

daman-e-gham bhi kahin chhut na jae hamdam
zindagi ke liye phir koi sahaara hi nahin

is qadar khugar-e-bedad kiya duniya ne
ab mujhe shikwa-e-be-mehri-e-duniya hi nahin

dil hai khun ruh hai betab nazar hai khira
hum ye samjhe the ki padash-e-tamanna hi nahin

chashm-e-mushtaq se ghabra gai chashm-e-khandan
meri nazron ko taqaze ka saliqa hi nahin

kya karen gar na jien kausar-o-tuba ke liye
jin gharibon ke liye raht-e-duniya hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close