ai do-jahan ke malik aala hai nam tera par dil ki bastiyon mein dekha maqam tera mauquf kab hai jinn-o-ins-o-malaika par tair bhi nam lete hain subh-o-sham tera takhsis neamaton mein abrar ki nahin kuchh ashrar par bhi har-dam hai lutf-e-am tera had ho gai ki tere mahbub ki zaban se hum khakiyon ko pahuncha yarab payam tera tu pardar-e-shab hai to khaliq-e-sahar hai khurshid-e-charkh kya hai adna ghulam tera sab kuchh mita chuki hun is aarzu pe yarab ho jae lauh-e-dil par manqush nam tera