tafkir ko huruf ke sanche mein dhaal ke alfaz ko tu bakhsh anasir jamal ke tarif teri ed ho tanqid ho lagam sahra-e-fikr mein uda ghode khayal ke bahr-e-hayat mein hain haqiqat ke jo sadaf ashaar mein piro tu ye moti nikal ke hai teri jaedad ye hurriyat-e-kalam kar sarf is mataa ko na rakh sambhaal ke shirini-e-hayat aur talkhi-e-tajrabaat hon zikr tere sher mein hijr-o-visal ke zahir tazad zist ho tere kalam mein charche ghina-o-faqr ata ke wabaal ke ho rifat-e-khayal teri ta-falak 'anis' alfaz aur maani hon jauhar kamal ke